Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye - Hindi Guide (2024)

Bahut se log Affiliate Marketing se paise kaise kamaye jate hai iske bare me nahi jante hai.Yaha mai apko affiliate marketing kya hai aur isko istemal kaise karte hai in sabhi bato ke bare me batauga.

Online paise kamana koi aasan kaam nahi hai lekin koisis karne se ise aasan banaya ja sakta hai.

Ap sabhi ko ye to pata hi hai ki online pase kamaye ja sakte hai but kin tariko se kamaye jaye aur kon sa trusted way hai in sabhi ke bare me jaanna jaruri hai.

Agar ap bhi ghar baithe paise kamana chahte hai to apke liye best tarika hai Affiliate Marketing, isme ap kam samay me jyada income genrate kar sakte hai.

affiliate marketing se paise kaise kamaye

Agar ap ek blogger aur apke blog me accha traffic aata hai to aap affliate program ke through acchi earning kar sakte hai kyuki jitne jyada apko viewers milege ye program utna hi apke liye benificial hoga.

Ye tarika ajkal kafi pupular ho gaya hai aur kai blogger isko use karke accha khasa monthy paise pa rahe hai.आप चाहे तो और दुसरे तरीके से पैसे कमा सकते है जैसे फेसबुक और Youtube से पैसे कमाए 

Affiliate Marketing होती क्या है

Affiliate Marketing ko ham kuch is tarah samjhte hai jaise ki apka kapdo ka business hai aur aap apne dost se kehte hai ki mai tumhare dwara ki gai har kapde ki sale par kuch percent commision duga.Aisa hone par apka dost kapdo ki adhik se adhik sale karega jisse ki use adhik paise mil sake.

Yahi chij online me karne par ye affiliate marketing kehlati hai.Isme companies apne promotors ko har sale ka kuch percent commission ke roop me deti hai.

Sabse acchi baat ye hai ki in Affiliate program me participate lene ke liye paise lagane ki jarurat nahi hoti hai ye ekdum free program hai.

Affiliate marketing me ap company ke product aur service ka promotion aur sale karke accha paisa commission ke roop me kama sakte hai.

Affliate Marketing Program Me Participate Kaise Kare

Agar aap bhi kisi Affilate program ko join karna chahte hai to apko affiliate marketing ke bare me online padhna jarur chaiye.Uske baad hi isko join karna chaiye.

Wase ajkla kai online websites hai jo ye program run kar rahi hai isme sirf apko un website me apne apko register karna hoga.

Registration complete hone ke baad apko company ke product aur service ka adhik se adhik promote karna hoga jisse jyada sale ho sake aur apko jyada commision mil sake.
Niche mai kuch websites ke link de raha hu aap kisi bhi link me jake account banane ke product ki sale kar sakte hai.

Trusted Affiliate Marketing Sites 2024


Affiliate Market Kon Sa Best Hai

Agar ap duvidha me hai ki kon sa affiliate market sahi hai paise kamanae ke liye to mai apko amazon preferred karuga kyuki ye abhi bhi working aur bahut se log ise use kar rahe hai.

Amazon Associates Account Ko Join Kaise Kare - Learn Step by Step

  • Sabse pehle amazon affiliate ke page par jaye.
  • Iske baad Join Now for Free par click kare.
  • Ab apne amazon account par login kare agar new user hai to Naya account create kare. uske baad apko in steps ko follow kare.


Account Information - Isme apko apna Delivery Address select karna hoga.

Website and Mobile App List - Isme apne blog ya website ka Name enter karke Add button par click karke Next button par click kare.

Profile - Is wale tab me apko apne site or blog ki details bharni hogi.
  • Preferred Associates Stores Id me apko apne online store ka ek naam dena hoga. (ise ap kuch bhi dal sakte hai maine thehindiresult dala hua hai)
  • Your website lists me apni website ka name hi dale.
  • Next box me apni website ke bare me likhe ki wo kis topic ke upar apne bani hai.
  • Uske baad koi do Topics ko select kare.
  • Ab Amazon items ko select kare.
  • Next step me website kis prakar ki hai ye select kare.

Traffic & Monetization:
  • Apne website pe traffic kase pate hai un options par tick kare.
  • Website se income kaise genrate karte hai isme diye gaye option ko select kare.
  • Links ko kaise build karke use karte hai, wo ap kaise karte hai apne anusar select kare.
  • Per month apke blog or website pe kitne visitors aate hai.
  • To Monetize my site ko select kare.
  • Aage Captcha code bhar kar terms and conditions pe tick karke Finish button par click kare.
  • Ab apka Amazon Associates Account successfully create ho chuka hai.

  • Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye - सीखिए हिंदी में 

Ab tak aap sab samajh hi gaye hoge affiliate marketing ke bare me leking isse paise kamaye jate hai ye janna jaruri hai.

Affiliate marketing ki dunia me kadam rakhne ke liye apko Website, Blog, Youtube channel ki jarurat hogi.

Inme se ek chij ke hone par bhi aap Products aur Services ko easily promote kar sakte hai.

Ab apko apne Affiliate Program wali kisi bhi site me Register karna hoga.

Aisa karne par ap us company ke product or services ko promote kar sakte hai.

Ap promotion kisi bhi madhyam se kar sakte hai jaise Banner, Referral, Affiliate link ke dwara.

Apke promotion dwara agar log products ko purchase karte hai to apko har product ki sale per paise milne lagege.

Final Words

Maine is article me un sahi bato ke bare me bata dia hai jisse ap income kar sakte hai.Affliate ke through income karna best option hai sabhi bloggers ke liye.
आपको ये पोस्ट कैसी लगी जरुर बताइएगा | वैसे मैंने यहाँ पर एफिलिएट मार्केटिंग से पैसे कमाने के कई सारे तरीको के बारे में आपको बता दिया है फिर भी अगर आपको कोई दूसरा तरीका पता हो तो कमेंट बॉक्स में जरुर लिखिएगा

No comments